Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har safar ke baad waisa hi safar rakkha gaya

Sarmad Sahbai

har safar ke baad waisa hi safar rakkha gaya

Sarmad Sahbai

MORE BYSarmad Sahbai

    har safar ke baa'd vaisā safar rakkhā gayā

    aur phir maqsūm merā dar-ba-dar rakkhā gayā

    arsa-e-dasht-e-talab ko intihā baḳhshī ga.ī

    mohlat-e-umr-e-ravāñ ko muḳhtasar rakkhā gayā

    ham kahāñ siine tah meñ ye samundar thāmte

    ek us ḳhātir tujhe ai chashm-e-tar rakkhā gayā

    hāsil-e-jāñ par ḳhas-o-ḳhāshāk-e-hasrat khīñch kar

    darmiyāñ us dil ke ḳhvāhish sharar rakkhā gayā

    bosa-e-ḳhurshīd se kholā sahar pairahan

    zānū-e-shab par mah-e-kāmil sar rakkhā gayā

    din ke rastoñ par bichā.ī nā-rasā.ī thakan

    niiñd dahlīz par ḳhvāboñ par rakkhā gayā

    muztarib rahtī hai koh-o-dasht meñ jaise havā

    is tarah siine meñ sāñsoñ guzar rakkhā gayā

    āte-jāte har-nafas meñ maut thā zā.iqa

    rā.egāñ jiine meñ marne hunar rakkhā gayā

    ḳhvāhisheñ jāgeñ jamāl-e-yār ke dīdār se

    pāniyoñ par māh-e-uryāñ asar rakkhā gayā

    umr bhar 'sarmad' thī jis ko yaad rakhne sazā

    sāmnā us shoḳh se ik lamha bhar rakkhā gayā

    har safar ke ba'd waisa hi safar rakkha gaya

    aur phir maqsum mera dar-ba-dar rakkha gaya

    arsa-e-dasht-e-talab ko intiha baKHshi gai

    mohlat-e-umr-e-rawan ko muKHtasar rakkha gaya

    hum kahan sine ki tah mein ye samundar thamte

    ek us KHatir tujhe ai chashm-e-tar rakkha gaya

    hasil-e-jaan par KHas-o-KHashak-e-hasrat khinch kar

    darmiyan us dil ke KHwahish ka sharar rakkha gaya

    bosa-e-KHurshid se khola sahar ka pairahan

    zanu-e-shab par mah-e-kaamil ka sar rakkha gaya

    din ke raston par bichai na-rasai ki thakan

    nind ki dahliz par KHwabon ka par rakkha gaya

    muztarib rahti hai koh-o-dasht mein jaise hawa

    is tarah sine mein sanson ka guzar rakkha gaya

    aate-jate har-nafas mein maut ka tha zaiqa

    raegan jine mein marne ka hunar rakkha gaya

    KHwahishen jagen jamal-e-yar ke didar se

    paniyon par mah-e-uryan ka asar rakkha gaya

    umr bhar 'sarmad' thi jis ko yaad rakhne ki saza

    samna us shoKH se ek lamha bhar rakkha gaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sarmad Sahbai

    Sarmad Sahbai

    Sarmad Sahbai

    Sarmad Sahbai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now