har safar ke baad waisa hi safar rakkha gaya
har safar ke baa'd vaisā hī safar rakkhā gayā
aur phir maqsūm merā dar-ba-dar rakkhā gayā
arsa-e-dasht-e-talab ko intihā baḳhshī ga.ī
mohlat-e-umr-e-ravāñ ko muḳhtasar rakkhā gayā
ham kahāñ siine kī tah meñ ye samundar thāmte
ek us ḳhātir tujhe ai chashm-e-tar rakkhā gayā
hāsil-e-jāñ par ḳhas-o-ḳhāshāk-e-hasrat khīñch kar
darmiyāñ us dil ke ḳhvāhish kā sharar rakkhā gayā
bosa-e-ḳhurshīd se kholā sahar kā pairahan
zānū-e-shab par mah-e-kāmil kā sar rakkhā gayā
din ke rastoñ par bichā.ī nā-rasā.ī kī thakan
niiñd kī dahlīz par ḳhvāboñ kā par rakkhā gayā
muztarib rahtī hai koh-o-dasht meñ jaise havā
is tarah siine meñ sāñsoñ kā guzar rakkhā gayā
āte-jāte har-nafas meñ maut kā thā zā.iqa
rā.egāñ jiine meñ marne kā hunar rakkhā gayā
ḳhvāhisheñ jāgeñ jamāl-e-yār ke dīdār se
pāniyoñ par māh-e-uryāñ kā asar rakkhā gayā
umr bhar 'sarmad' thī jis ko yaad rakhne kī sazā
sāmnā us shoḳh se ik lamha bhar rakkhā gayā
har safar ke ba'd waisa hi safar rakkha gaya
aur phir maqsum mera dar-ba-dar rakkha gaya
arsa-e-dasht-e-talab ko intiha baKHshi gai
mohlat-e-umr-e-rawan ko muKHtasar rakkha gaya
hum kahan sine ki tah mein ye samundar thamte
ek us KHatir tujhe ai chashm-e-tar rakkha gaya
hasil-e-jaan par KHas-o-KHashak-e-hasrat khinch kar
darmiyan us dil ke KHwahish ka sharar rakkha gaya
bosa-e-KHurshid se khola sahar ka pairahan
zanu-e-shab par mah-e-kaamil ka sar rakkha gaya
din ke raston par bichai na-rasai ki thakan
nind ki dahliz par KHwabon ka par rakkha gaya
muztarib rahti hai koh-o-dasht mein jaise hawa
is tarah sine mein sanson ka guzar rakkha gaya
aate-jate har-nafas mein maut ka tha zaiqa
raegan jine mein marne ka hunar rakkha gaya
KHwahishen jagen jamal-e-yar ke didar se
paniyon par mah-e-uryan ka asar rakkha gaya
umr bhar 'sarmad' thi jis ko yaad rakhne ki saza
samna us shoKH se ek lamha bhar rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.