har samt ek dhuan hai har gam tirgi hai
har samt ik dhuāñ hai har gaam tīrgī hai
duniyā tire safar meñ ye kaisī raushnī hai
zulmat kī rah-guzar pe ulfat sisak rahī hai
ye kaun be-hisī hai ye kaun bebasī hai
tanhā hī chal rahe ham manzil kī aarzū meñ
har sub.h ajnabī hai har shaam ajnabī hai
apnī hī dhun meñ sab haiñ har shaḳhs dar-ba-dar hai
ye kaisī justujū hai ye kaisī tishnagī hai
ham mar ke jī rahe haiñ ḳhvāboñ kī anjuman meñ
nākām hasrateñ haiñ gumnām zindagī hai
'ābid' tumhāre haq meñ har lab pe ik gila hai
har dil meñ ik chubhan hai har aañkh shabnamī hai
har samt ek dhuan hai har gam tirgi hai
duniya tere safar mein ye kaisi raushni hai
zulmat ki rah-guzar pe ulfat sisak rahi hai
ye kaun be-hisi hai ye kaun bebasi hai
tanha hi chal rahe hum manzil ki aarzu mein
har subh ajnabi hai har sham ajnabi hai
apni hi dhun mein sab hain har shaKHs dar-ba-dar hai
ye kaisi justuju hai ye kaisi tishnagi hai
hum mar ke ji rahe hain KHwabon ki anjuman mein
nakaam hasraten hain gumnam zindagi hai
'abid' tumhaare haq mein har lab pe ek gila hai
har dil mein ek chubhan hai har aankh shabnami hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.