har samt pukara hai aawaz nahin i
har samt pukārā hai āvāz nahīñ i
sannāTā hai sannāTā tanhā.ī hai tanhā.ī
lī fart-e-masarrat se barsāt ne añgḌā.ī
jab chāñd se chehre par kaalī sī ghaTā chhā.ī
kuchh aisī adāoñ se gulshan meñ bahār i
shabnam ne ġhazal chheḌī phūloñ ko hañsī i
dariyā ke talātum meñ maujoñ kī ye ra.anā.ī
bīmār sī kashtī meñ māñjhī kī masīhā.ī
ye merī haqīqat hai ye merī shanāsā.ī
maiñ ek tamāshā huuñ duniyā hai tamāshā.ī
har samt pukara hai aawaz nahin i
sannaTa hai sannaTa tanhai hai tanhai
li fart-e-masarrat se barsat ne angDai
jab chand se chehre par kali si ghaTa chhai
kuchh aisi adaon se gulshan mein bahaar i
shabnam ne ghazal chheDi phulon ko hansi i
dariya ke talatum mein maujon ki ye ranai
bimar si kashti mein manjhi ki masihai
ye meri haqiqat hai ye meri shanasai
main ek tamasha hun duniya hai tamashai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.