har samt qatl-gah ka manzar hai aaj bhi
har samt qatl-gāh kā manzar hai aaj bhī
poshīda āstīnoñ meñ ḳhanjar hai aaj bhī
hai amn aur 'adl kā shohrā bahut magar
sargarm-e-kār dast-e-sitamgar hai aaj bhī
jo muddatoñ se lūTtā aayā hai dosto
afsos qaum kā vahī rahbar hai aaj bhī
tum se judā hue to zamāna huā magar
saaya tumhārī zulfoñ kā sar par hai aaj bhī
tū mehrbāñ thā mujh pe kabhī yaad hai mujhe
kyā tū vahī ḳhulūs kā paikar hai aaj bhī
tāmīr-e-nau ke daur meñ ahl-e-makāñ haiñ sab
'dānish' hai ek shaḳhs jo be-ghar hai aaj bhī
har samt qatl-gah ka manzar hai aaj bhi
poshida aastinon mein KHanjar hai aaj bhi
hai amn aur 'adl ka shohra bahut magar
sargarm-e-kar dast-e-sitamgar hai aaj bhi
jo muddaton se luTta aaya hai dosto
afsos qaum ka wahi rahbar hai aaj bhi
tum se juda hue to zamana hua magar
saya tumhaari zulfon ka sar par hai aaj bhi
tu mehrban tha mujh pe kabhi yaad hai mujhe
kya tu wahi KHulus ka paikar hai aaj bhi
tamir-e-nau ke daur mein ahl-e-makan hain sab
'danish' hai ek shaKHs jo be-ghar hai aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.