Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har samt qayamat si bapa dekh raha hun

Sarshar Hoshyarpuri

har samt qayamat si bapa dekh raha hun

Sarshar Hoshyarpuri

MORE BYSarshar Hoshyarpuri

    har samt qayāmat bapā dekh rahā huuñ

    maiñ dekh rahā huuñ ki ye kyā dekh rahā huuñ

    har shaḳhs ko mā.il-ba-riyā dekh rahā huuñ

    phailī huī har-sū ye vabā dekh rahā huuñ

    bejā hai ye kahnā ki bajā dekh rahā huuñ

    dānāoñ ke ausān ḳhatā dekh rahā huuñ

    ab ai mire allāh kyā dekh rahā hai

    kyā dekh rahā hai maiñ kyā dekh rahā huuñ

    āñkheñ haiñ magar kuchh bhī dikhā.ī nahīñ detā

    yuuñ dekhne ko arz-o-samā dekh rahā huuñ

    insān kisī haal meñ ḳhush rah nahīñ saktā

    har lamha use nāla-sarā dekh rahā huuñ

    hogī ki nahīñ eid kisī tishna-dahan

    hogā ki nahīñ mai-kada dekh rahā huuñ

    dekho to sahī aañkh ke andhe ne kahā jab

    ik aql ke andhe ne kahā dekh rahā huuñ

    ek aañkh nahīñ dekh sakā haif idhar to

    maiñ raah tirī rāh-numā dekh rahā huuñ

    har samt qayamat si bapa dekh raha hun

    main dekh raha hun ki ye kya dekh raha hun

    har shaKHs ko mail-ba-riya dekh raha hun

    phaili hui har-su ye waba dekh raha hun

    beja hai ye kahna ki baja dekh raha hun

    danaon ke ausan KHata dekh raha hun

    ab ai mere allah tu kya dekh raha hai

    kya dekh raha hai tu main kya dekh raha hun

    aankhen hain magar kuchh bhi dikhai nahin deta

    yun dekhne ko arz-o-sama dekh raha hun

    insan kisi haal mein KHush rah nahin sakta

    har lamha use nala-sara dekh raha hun

    hogi ki nahin eid kisi tishna-dahan ki

    hoga ki nahin mai-kada wa dekh raha hun

    dekho to sahi aankh ke andhe ne kaha jab

    ek aql ke andhe ne kaha dekh raha hun

    ek aankh nahin dekh saka haif idhar to

    main rah teri rah-numa dekh raha hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now