har samt sulagta hai ghurbat ka sharar ab tak
har samt sulagta hai ghurbat ka sharar ab tak
Aziqur Rahman Sarim
MORE BYAziqur Rahman Sarim
har samt sulagtā hai ġhurbat kā sharar ab tak
roTī ko tarastā hai duniyā meñ bashar ab tak
tum jitnā sitam Dhā lo lekin ye haqīqat hai
mazlūm kī aahoñ meñ baaqī hai asar ab tak
jis samt nazar uTThe us samt bahārāñ ho
tujh sā to nahīñ dekhā andāz-e-nazar ab tak
din raat mohabbat meñ martā hī rahā jis par
us ko na milī mere marne kī ḳhabar ab tak
jis raah se muḌ kar ham aa.e the ajī sāhib
bhūle se kabhī ham ne dekhā na udhar ab tak
tum merī rifāqat meñ jis raah se guzre the
maiñ bhuul nahīñ paayā vo rāhguzar ab tak
kis tarah kī bastī meñ ham aa ke base 'sārim'
kāñdhe pe liye lāsha kī ziist basar ab tak
har samt sulagta hai ghurbat ka sharar ab tak
roTi ko tarasta hai duniya mein bashar ab tak
tum jitna sitam Dha lo lekin ye haqiqat hai
mazlum ki aahon mein baqi hai asar ab tak
jis samt nazar uTThe us samt bahaaran ho
tujh sa to nahin dekha andaz-e-nazar ab tak
din raat mohabbat mein marta hi raha jis par
us ko na mili mere marne ki KHabar ab tak
jis rah se muD kar hum aae the aji sahib
bhule se kabhi hum ne dekha na udhar ab tak
tum meri rifaqat mein jis rah se guzre the
main bhul nahin paya wo rahguzar ab tak
kis tarah ki basti mein hum aa ke base 'sarim'
kandhe pe liye lasha ki zist basar ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.