Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har-samt tazgi si jharnon ki naghmagi se kitni

Jafar Raza

har-samt tazgi si jharnon ki naghmagi se kitni

Jafar Raza

MORE BYJafar Raza

    har-samt tāzgī jharnoñ naġhmagī se kitnī

    mushābahat hai saaqī tirī hañsī se

    kyā jaane kitne fitne uThte haiñ kaj-ravī se

    vo shaḳhs yuuñ ba-zāhir miltā hai sādgī se

    aksar ġhazal huī hai kuchh aisī jāñ-kanī se

    jaise ġhazāl dekhe sahrā meñ bebasī se

    ik mard-e-bā-safā ne likkhā lahū se apne

    'izzat maut behtar zillat zindagī se

    sadiyoñ talak rahī hai tahzīb nigahbāñ

    patthar tarāshte the kuchh log shā'irī se

    ab aadmī bane haiñ ik dūsre ke saa.il

    ab aadmī gurezāñ rahtā hai aadmī se

    shoḳhī-o-bazla-sanjī doshīzgī vahī hai

    mā'sūmiyat ga.ī bas ehsās-e-āgahī se

    jab ho ġharaz to maliye varna khiñche se rahiye

    ham tañg aa chuke haiñ is shān-e-dilbarī se

    'ja.afar'-razā tum ab tak achchhe-bhale the lekin

    miTTī ḳharāb kar kyuuñ tum ne shā'irī se

    har-samt tazgi si jharnon ki naghmagi se kitni

    mushabahat hai saqi teri hansi se

    kya jaane kitne fitne uThte hain kaj-rawi se

    wo shaKHs yun ba-zahir milta hai sadgi se

    aksar ghazal hui hai kuchh aisi jaan-kani se

    jaise ghazal dekhe sahra mein bebasi se

    ek mard-e-ba-safa ne likkha lahu se apne

    'izzat ki maut behtar zillat ki zindagi se

    sadiyon talak rahi hai tahzib ki nigahban

    patthar tarashte the kuchh log sha'iri se

    ab aadmi bane hain ek dusre ke sail

    ab aadmi gurezan rahta hai aadmi se

    shoKHi-o-bazla-sanji doshizgi wahi hai

    ma'sumiyat gai bas ehsas-e-agahi se

    jab ho gharaz to maliye warna khinche se rahiye

    hum tang aa chuke hain is shan-e-dilbari se

    'jafar'-raza tum ab tak achchhe-bhale the lekin

    miTTi KHarab kar li kyun tum ne sha'iri se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now