Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har shai mein mujhe kul ka tamasha nazar aaya

Qais Jalandhari

har shai mein mujhe kul ka tamasha nazar aaya

Qais Jalandhari

har shai meñ mujhe kul tamāshā nazar aayā

qatra liye āġhosh meñ dariyā nazar aayā

thī shoḳh-nigāhī kisī zālim qayāmat

jazbāt 'ālam tah-o-bālā nazar aayā

jab aañkh khulī vahm bhī thā asl sarāsar

jab raaz khulā asl bhī dhokā nazar aayā

pahlū meñ jo thā dil to faqat ḳhuun qatra

āñkhoñ meñ pahuñchtā thā ki dariyā nazar aayā

jab hosh na aayā thā parāyā bhī thā apnā

hosh aayā to apnā bhī parāyā nazar aayā

is bazm meñ allāh-re hairat ye 'ālam

parde ke na hone pe bhī parda nazar aayā

har shai mein mujhe kul ka tamasha nazar aaya

qatra liye aaghosh mein dariya nazar aaya

thi shoKH-nigahi kisi zalim ki qayamat

jazbaat ka 'alam tah-o-baala nazar aaya

jab aankh khuli wahm bhi tha asl sarasar

jab raaz khula asl bhi dhoka nazar aaya

pahlu mein jo tha dil to faqat KHun ka qatra

aankhon mein pahunchta tha ki dariya nazar aaya

jab hosh na aaya tha paraya bhi tha apna

hosh aaya to apna bhi paraya nazar aaya

is bazm mein allah-re hairat ka ye 'alam

parde ke na hone pe bhi parda nazar aaya

Source :
  • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 159)
  • Author : Aziz Nabeel
  • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
  • Edition : 2013-14
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now