har shai mere gham ki tasir nazar aai
har shai mere ġham kī tāsīr nazar aa.ī
shām-e-shab-e-furqat bhī dil-gīr nazar aa.ī
ab daur-e-ḳhizāñ shāyad gulshan meñ qarīb aaya
kuchh aaj sabā mujh ko dil-gīr nazar aa.ī
ye ḳhāna-e-dil vo hai miTne se jo bantā hai
taḳhrīb meñ bhī is ke ta.amīr nazar aa.ī
ai josh-e-junūñ tujh par kyūñkar na tasadduq huuñ
vo din bhī ḳhudā laayā zanjīr nazar aa.ī
ye Dar hai shab-e-va.ada bahlā.ūñgā dil kyūñkar
aane meñ agar un ke tāḳhīr nazar aa.ī
phir dil meñ huī vahshat phir hosh hue ġhā.eb
phir un kī tasavvur meñ tasvīr nazar aa.ī
duniyā-e-mohabbat kī rasmeñ bhī nirālī haiñ
zillat jise samjhe the tauqīr nazar aa.ī
vo dekh ke ā.īna ḳhud apne hue shaidā
kuchh aisī unheñ dilkash tasvīr nazar aa.ī
ġham-ḳhvār na thā koī vahshī kā asīrī meñ
tanhā.ī meñ ik monis zanjīr nazar aa.ī
nāshād jo ik maiñ huuñ allāh re asar is kā
duniyā mirī nazroñ meñ dil-gīr nazar aa.ī
vo mai kī ravāñ nahreñ vo jām-o-subū dil-kash
maiḳhāne meñ jannat kī tasvīr nazar aa.ī
siine meñ tapāñ dil hai āñkhoñ se ravāñ aañsū
ye ḳhvāb-e-mohabbat kī ta.abīr nazar aa.ī
haiñ ishq-o-mohabbat ke ahkām judāgāna
majbūr yahāñ bilkul taqdīr nazar aa.ī
har shai mere gham ki tasir nazar aai
sham-e-shab-e-furqat bhi dil-gir nazar aai
ab daur-e-KHizan shayad gulshan mein qarib aaya
kuchh aaj saba mujh ko dil-gir nazar aai
ye KHana-e-dil wo hai miTne se jo banta hai
taKHrib mein bhi is ke tamir nazar aai
ai josh-e-junun tujh par kyunkar na tasadduq hun
wo din bhi KHuda laya zanjir nazar aai
ye Dar hai shab-e-wada bahlaunga dil kyunkar
aane mein agar un ke taKHir nazar aai
phir dil mein hui wahshat phir hosh hue ghaeb
phir un ki tasawwur mein taswir nazar aai
duniya-e-mohabbat ki rasmen bhi nirali hain
zillat jise samjhe the tauqir nazar aai
wo dekh ke aaina KHud apne hue shaida
kuchh aisi unhen dilkash taswir nazar aai
gham-KHwar na tha koi wahshi ka asiri mein
tanhai mein ek monis zanjir nazar aai
nashad jo ek main hun allah re asar is ka
duniya meri nazron mein dil-gir nazar aai
wo mai ki rawan nahren wo jam-o-subu dil-kash
maiKHane mein jannat ki taswir nazar aai
sine mein tapan dil hai aankhon se rawan aansu
ye KHwab-e-mohabbat ki tabir nazar aai
hain ishq-o-mohabbat ke ahkaam judagana
majbur yahan bilkul taqdir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.