har shaKHs apne aap mein simTa hua mila
har shaḳhs apne aap meñ simTā huā milā
har ek sochtā hai mujhe kis se kyā milā
is shahr meñ guzārtā ik umr aur maiñ
vo to ye ḳhairiyat huī banda bhalā milā
yā to rahā huuñ ḳhud se hī mahv-e-kalām maiñ
yā phir mujhī sā koī mujhe dūsrā milā
aaise mirī sadā ne ta.āqub kiyā mirā
jaise maiñ ḳhud ko chhoḌ ke auroñ se jā milā
kuchh ajnabī se chehroñ ko kal dekhte hue
yādoñ meñ aisā kho sā gayā ḳhud se jā milā
māñgā jo ek bhiiḌ ne kal mujh se rāsta
dekhā to maiñ hī raah meñ bikhrā huā milā
kyuuñ 'talḳh' tujh ko kaisā lagā vaqt kā chalan
andar se koī ajnabī jab TūTtā milā
har shaKHs apne aap mein simTa hua mila
har ek sochta hai mujhe kis se kya mila
is shahr mein guzarta ek umr aur main
wo to ye KHairiyat hui banda bhala mila
ya to raha hun KHud se hi mahw-e-kalam main
ya phir mujhi sa koi mujhe dusra mila
aaise meri sada ne taaqub kiya mera
jaise main KHud ko chhoD ke auron se ja mila
kuchh ajnabi se chehron ko kal dekhte hue
yaadon mein aisa kho sa gaya KHud se ja mila
manga jo ek bhiD ne kal mujh se rasta
dekha to main hi rah mein bikhra hua mila
kyun 'talKH' tujh ko kaisa laga waqt ka chalan
andar se koi ajnabi jab TuTta mila
- Book : Waseela (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.