Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har shaKHs apne aap se uljha dikhai de

Sabir Naseerabadi

har shaKHs apne aap se uljha dikhai de

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    har shaḳhs apne aap se uljhā dikhā.ī de

    ehsās chitā meñ sulagtā dikhā.ī de

    is daur-e-irtiqā ye e'jāz kam nahīñ

    har shaḳhs apne qad se nikaltā dikhā.ī de

    qātil dastaras se bahut duur huuñ magar

    ḳhanjar mire jigar meñ utartā dikhā.ī de

    dhartī kokh bāñjh nahīñ maslahat hai ye

    sabza to pattharoñ pe bhī ugtā dikhā.ī de

    sūraj ko lālTain dikhātā hai aadmī

    āñkhoñ ke bāvajūd bhī andhā dikhā.ī de

    jiddat-pasandiyoñ milī hai mujhe sazā

    har shaḳhs mere ḳhuun pyāsā dikhā.ī de

    'sābir' junūn-e-ārzū hai vo balā jise

    apnā dikhā.ī de na parāyā dikhā.ī de

    har shaKHs apne aap se uljha dikhai de

    ehsas ki chita mein sulagta dikhai de

    is daur-e-irtiqa ka ye e'jaz kam nahin

    har shaKHs apne qad se nikalta dikhai de

    qatil ki dastaras se bahut dur hun magar

    KHanjar mere jigar mein utarta dikhai de

    dharti ki kokh banjh nahin maslahat hai ye

    sabza to pattharon pe bhi ugta dikhai de

    suraj ko lalTain dikhata hai aadmi

    aankhon ke bawajud bhi andha dikhai de

    jiddat-pasandiyon ki mili hai mujhe saza

    har shaKHs mere KHun ka pyasa dikhai de

    'sabir' junun-e-arzu hai wo bala jise

    apna dikhai de na paraya dikhai de

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now