har shaKHs ki aankhon ko rasai nahin deta
har shaḳhs kī āñkhoñ ko rasā.ī nahīñ detā
vo saath hī rahtā hai dikhā.ī nahīñ detā
haq baat bhī kānoñ ko bhalī lagtī nahīñ hai
ho aql pe parda to sujhā.ī nahīñ detā
ġhairoñ se shikāyat hai janāb aap ko afsos
ab saath yahāñ bhaa.ī kā bhaa.ī nahīñ detā
fan ke liye dil apnā lahū us ne kiyā hai
be-vaj.h kisī ko vo baḌā.ī nahīñ detā
kis tarah vo ḳhūbī mirī taslīm kareñge
andhoñ ko to ā.īna dikhā.ī nahīñ detā
kah detā hai har baat bhalī ho ki burī ho
ā.īna kabhī apnī safā.ī nahīñ detā
kuchh us kā bhī andāz-e-nazar badlā huā hai
ab maiñ bhī 'zamīr' us kī duhā.ī nahīñ detā
har shaKHs ki aankhon ko rasai nahin deta
wo sath hi rahta hai dikhai nahin deta
haq baat bhi kanon ko bhali lagti nahin hai
ho aql pe parda to sujhai nahin deta
ghairon se shikayat hai janab aap ko afsos
ab sath yahan bhai ka bhai nahin deta
fan ke liye dil apna lahu us ne kiya hai
be-wajh kisi ko wo baDai nahin deta
kis tarah wo KHubi meri taslim karenge
andhon ko to aaina dikhai nahin deta
kah deta hai har baat bhali ho ki buri ho
aaina kabhi apni safai nahin deta
kuchh us ka bhi andaz-e-nazar badla hua hai
ab main bhi 'zamir' us ki duhai nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.