har shaKHs yahan mujhko bimar sa lagta hai
har shaḳhs yahāñ mujh ko bīmār sā lagtā hai
is shahr meñ ab jiinā āzār sā lagtā hai
sochoñ kī dukāneñ haiñ yādoñ ke khilaune haiñ
siine meñ mire koī bāzār sā lagtā hai
dekhā tumheñ jab se ehsās ke āñgan meñ
har jazba-e-ḳhvābīda bedār sā lagtā hai
ab rāh-e-mohabbat meñ chalnā hai bahut mushkil
is raah kā har patthar kohsār sā lagtā hai
maanā ki tire lab par alfāz to achchhe haiñ
lekin ye tirā lahja talvār sā lagtā hai
kuchh shahr ke dukhḌe haiñ kuchh ghar ke masā.il haiñ
mujh ko ye tirā ḳhat bhī aḳhbār sā lagtā hai
hālāt ne bhar dī hai talḳhī sī tabī.at meñ
ab kār-e-suḳhan-sāzī dushvār sā lagtā hai
dar-asl vo kaisā hai ye ba.ad kī bāteñ haiñ
chehre se magar 'shāhid' ġham-ḳhvār sā lagtā hai
har shaKHs yahan mujh ko bimar sa lagta hai
is shahr mein ab jina aazar sa lagta hai
sochon ki dukanen hain yaadon ke khilaune hain
sine mein mere koi bazar sa lagta hai
dekha tumhein jab se ehsas ke aangan mein
har jazba-e-KHwabida bedar sa lagta hai
ab rah-e-mohabbat mein chalna hai bahut mushkil
is rah ka har patthar kohsar sa lagta hai
mana ki tere lab par alfaz to achchhe hain
lekin ye tera lahja talwar sa lagta hai
kuchh shahr ke dukhDe hain kuchh ghar ke masail hain
mujh ko ye tera KHat bhi aKHbar sa lagta hai
haalat ne bhar di hai talKHi si tabiat mein
ab kar-e-suKHan-sazi dushwar sa lagta hai
dar-asl wo kaisa hai ye baad ki baaten hain
chehre se magar 'shahid' gham-KHwar sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.