Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har shaKHs yun to bazm mein izzat-maab tha

Neeraj Naveed

har shaKHs yun to bazm mein izzat-maab tha

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    har shaḳhs yuuñ to bazm meñ 'izzat-ma.āb thā

    lekin har ek chehre pe ik iztirāb thā

    ye thā savāl kaun nibhā.egā 'umr bhar

    vo thā ḳhamosh aur maiñ bhī lā-javāb thā

    nā-kāmyāb the so rahe duur tujh se ham

    jo bhī tire qarīb thā vo kāmyāb thā

    āḳhir ye raaz khul gayā sach kyā hai jhuuT kyā

    sachchā.ī us ke chehre pe bas ik naqāb thā

    haañ mujh ko us se pyaar hai aur be-hisāb hai

    haañ us ko mujh se pyaar thā aur be-hisāb thā

    uktā ga.e ho duniyā se tum chand roz meñ

    'nīraj' tumhārā duniyā badalne ḳhvāb thā

    har shaKHs yun to bazm mein 'izzat-maab tha

    lekin har ek chehre pe ek iztirab tha

    ye tha sawal kaun nibhaega 'umr bhar

    wo tha KHamosh aur main bhi la-jawab tha

    na-kaamyab the so rahe dur tujh se hum

    jo bhi tere qarib tha wo kaamyab tha

    aaKHir ye raaz khul gaya sach kya hai jhuT kya

    sachchai us ke chehre pe bas ek naqab tha

    han mujh ko us se pyar hai aur be-hisab hai

    han us ko mujh se pyar tha aur be-hisab tha

    ukta gae ho duniya se tum chand roz mein

    'niraj' tumhaara duniya badalne ka KHwab tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now