har sitam hum pe aazmata hai
har sitam ham pe āzmātā hai
zaḳhm detā hai bhuul jaatā hai
vā'de kartā hai roz milne ke
aur ḳhud hī mukar bhī jaatā hai
sun ke rūdād vo mire dil kī
hāl-e-dil apnā bhī sunātā hai
mil na paa.ī jise kabhī manzil
vo mujhe rāsta batātā hai
dekhne ḳhvāb bhī nahīñ detā
niiñd āñkhoñ se yuuñ churātā hai
saath detā hai vo raqīboñ kā
dard-e-dil yuuñ bhī vo baḌhātā hai
har sitam hum pe aazmata hai
zaKHm deta hai bhul jata hai
wa'de karta hai roz milne ke
aur KHud hi mukar bhi jata hai
sun ke rudad wo mere dil ki
haal-e-dil apna bhi sunata hai
mil na pai jise kabhi manzil
wo mujhe rasta batata hai
dekhne KHwab bhi nahin deta
nind aankhon se yun churaata hai
sath deta hai wo raqibon ka
dard-e-dil yun bhi wo baDhata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.