har subh apne ghar mein har raat apne ghar mein
har sub.h apne ghar meñ har raat apne ghar meñ
honā thī kyā huī hai kyā baat apne ghar meñ
auhām apne ghar meñ āfāt apne ghar meñ
ho kyoñ na āñsuoñ kī barsāt apne ghar meñ
ham jānte haiñ apnī auqāt apne ghar meñ
laate nahīñ haiñ koī sauġhāt apne ghar meñ
duniyā meñ kitne raste aur kitnī manzileñ haiñ
hai kyā sabab jo aa.e har raat apne ghar meñ
sar kis jagah jhukā hai dil kis jagah dukhā hai
sab kuchh kaheñge tujh se ai raat apne ghar meñ
bāġhoñ meñ aur kuchh the rastoñ meñ aur kuchh the
kuchh aur ho ga.e haiñ jazbāt apne ghar meñ
nairangi-e-jahāñ ko ham ḳhuub jānte haiñ
ik zaat ghar se bāhar ik zaat apne ghar meñ
kuchh khel aise khele 'iqbāl' zindagī ne
sadiyoñ kī tarh guzre lamhāt apne ghar meñ
har subh apne ghar mein har raat apne ghar mein
hona thi kya hui hai kya baat apne ghar mein
auham apne ghar mein aafat apne ghar mein
ho kyon na aansuon ki barsat apne ghar mein
hum jaante hain apni auqat apne ghar mein
late nahin hain koi saughat apne ghar mein
duniya mein kitne raste aur kitni manzilen hain
hai kya sabab jo aae har raat apne ghar mein
sar kis jagah jhuka hai dil kis jagah dukha hai
sab kuchh kahenge tujh se ai raat apne ghar mein
baghon mein aur kuchh the raston mein aur kuchh the
kuchh aur ho gae hain jazbaat apne ghar mein
nairangi-e-jahan ko hum KHub jaante hain
ek zat ghar se bahar ek zat apne ghar mein
kuchh khel aise khele 'iqbaal' zindagi ne
sadiyon ki tarh guzre lamhat apne ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.