har subh-e-daraKHshan mere liye paigham-e-masarrat hoti hai
har subh-e-daraKHshan mere liye paigham-e-masarrat hoti hai
Bismil Dehlavi
MORE BYBismil Dehlavi
har sub.h-e-daraḳhshāñ mere liye paiġhām-e-masarrat hotī hai
ya.anī ik din kam aur huā ab maut se qurbat hotī hai
duniyā ke muñh se suntā huuñ aur sun kar sochtā rahtā huuñ
jo niiñd se ik dam jaag uThe aisī bhī qismat hotī hai
hastī kī karvaT paik-e-ajal aur paik-e-ajal paiġhām-e-sukūñ
hastī jab karvaT letī hai ālām se fursat hotī hai
mañjdhār se kashtī bach niklī to sāhil se majrūh huī
mallāh pe ab ye bhed khulā qismat phir qismat hotī hai
allāh re sola saal kā sin raftār na.ī guftār na.ī
is umr kī kyā tārīf karūñ ye umr qayāmat hotī hai
nazroñ se nazreñ milte hī sharmānā jhijaknā jhuñjhlānā
o nāz-o-adā vaale yuuñ bhī tā.īd-e-mohabbat hotī hai
har roz kahāñ gāhe-gāhe aur vo bhī bas ik do jur.e
maiñ bhī pī letā huuñ 'bismil' jab us kī rahmat hotī hai
har subh-e-daraKHshan mere liye paigham-e-masarrat hoti hai
yani ek din kam aur hua ab maut se qurbat hoti hai
duniya ke munh se sunta hun aur sun kar sochta rahta hun
jo nind se ek dam jag uThe aisi bhi qismat hoti hai
hasti ki karwaT paik-e-ajal aur paik-e-ajal paigham-e-sukun
hasti jab karwaT leti hai aalam se fursat hoti hai
manjdhaar se kashti bach nikli to sahil se majruh hui
mallah pe ab ye bhed khula qismat phir qismat hoti hai
allah re sola sal ka sin raftar nai guftar nai
is umr ki kya tarif karun ye umr qayamat hoti hai
nazron se nazren milte hi sharmana jhijakna jhunjhlana
o naz-o-ada wale yun bhi taid-e-mohabbat hoti hai
har roz kahan gahe-gahe aur wo bhi bas ek do jure
main bhi pi leta hun 'bismil' jab us ki rahmat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.