har su mausam nur pe tha jab miladon sat-sangon ka
har sū mausam nuur pe thā jab mīlādoñ sat-sañgoñ kā
thā jhankār pe raag basantī suufī sunnat malañgoñ kā
ghar ghar nachne naach rahe haiñ mahā-nagar ke tāloñ par
gaañv ke bārah-māsoñ meñ dam TuuT gayā mardangoñ kā
mere ahd ke bachche hindū muslim sikh īsā.ī haiñ
aman kī bagiyā meñ hai ab to har pal mausam dañgoñ kā
kyā ḳhush-marzī thī logoñ par logāñ jiite marte the
dil vāloñ kī bastī meñ ab qabza hai man-tangoñ kā
mulk mulk duryodhan mahshar-sāmān.ī par āmāda
niil gagan bantā jaa.e maidān sitāra jañgoñ kā
rājāoñ kā des thā ghar ghar hāthī jhūmā karte the
aaj vahī bhārat 'rahmānī' mulk hai bhūkoñ nañgoñ kā
har su mausam nur pe tha jab miladon sat-sangon ka
tha jhankar pe rag basanti sufi sunnat malangon ka
ghar ghar nachne nach rahe hain maha-nagar ke talon par
ganw ke barah-mason mein dam TuT gaya mardangon ka
mere ahd ke bachche hindu muslim sikh isai hain
aman ki bagiya mein hai ab to har pal mausam dangon ka
kya KHush-marzi thi logon par logan jite marte the
dil walon ki basti mein ab qabza hai man-tangon ka
mulk mulk duryodhan mahshar-samani par aamada
nil gagan banta jae maidan sitara jangon ka
rajaon ka des tha ghar ghar hathi jhuma karte the
aaj wahi bhaarat 'rahmani' mulk hai bhukon nangon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.