har taghayyur ko ek paDaw samajh
har taġhayyur ko ik paḌāv samajh
āḳhirī mat use alaav samajh
qadr-o-qīmat jinheñ samajhtā hai
apnī fitrat ke kuchh jhukāo samajh
har ta.assub ko jo hai dil meñ chhupā
tū taraqqī meñ ik rukāo samajh
kuchh tamannā.eñ haiñ ḳhudā kī den
tū ḳhudā-dād inheñ bahāo samajh
zāviyoñ ko muḳhālifīn ke to
na.e pahlū na.e sujhāo samajh
jise kahte haiñ log husn-o-shabāb
gardish-e-ḳhūñ lahū kā taao samajh
jab tak armān haiñ javānī hai
piirī armānoñ kā sikhāo samajh
maiñ huuñ dīvāna fart-e-dānish se
kam samajhne meñ tū bachāo samajh
har taghayyur ko ek paDaw samajh
aaKHiri mat use alaw samajh
qadr-o-qimat jinhen samajhta hai
apni fitrat ke kuchh jhukao samajh
har tassub ko jo hai dil mein chhupa
tu taraqqi mein ek rukao samajh
kuchh tamannaen hain KHuda ki den
tu KHuda-dad inhen bahao samajh
zawiyon ko muKHalifin ke to
nae pahlu nae sujhao samajh
jise kahte hain log husn-o-shabab
gardish-e-KHun lahu ka tao samajh
jab tak arman hain jawani hai
piri armanon ka sikhao samajh
main hun diwana fart-e-danish se
kam samajhne mein tu bachao samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.