har taghayyur pe aql kahti hai
har taġhayyur pe aql kahtī hai
aap kuchh aur hote jaate haiñ
kaise mujrim haiñ ham ki qātil bhī
zab.h karte haiñ rote jaate haiñ
qaid se ik asiir chhūTā hai
log vāqif jo hote jaate haiñ
tauq-o-zanjīr ke nishānoñ par
āñkheñ malte haiñ rote jaate haiñ
raat añdherī hai dekhiye kyā ho
jāgne vaale sote jaate haiñ
har taghayyur pe aql kahti hai
aap kuchh aur hote jate hain
kaise mujrim hain hum ki qatil bhi
zabh karte hain rote jate hain
qaid se ek asir chhuTa hai
log waqif jo hote jate hain
tauq-o-zanjir ke nishanon par
aankhen malte hain rote jate hain
raat andheri hai dekhiye kya ho
jagne wale sote jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.