har taraf ek bebasi si in dinon manzar mein hai
har taraf ik bebasī sī in dinoñ manzar meñ hai
gardish-e-daurāñ thamī hai aur insāñ ghar meñ hai
dekhnā us kā shifā hai us kā chhūnā zindagī
baat ye kaisī anokhī mere chārāgar meñ hai
mausamoñ kī rut na.ī hai tum jo Thahre ho yahāñ
ya.anī dhaḌkan sī har ik kankar meñ aur patthar meñ hai
nāma-e-a.amāl meñ guftār se baḌh kar bhī kuchh
pesh kar ġhāfil amal koī agar daftar meñ hai
jis ko pī kar phir kisī bhī jaam kī ḳhvāhish na ho
bandagī kā vo nasha iqbāl ke sāġhar meñ hai
'sāhil'-e-dariyā pe chhalkā thā jo terī yaad meñ
mere is aañsū kī tābānī har ik gauhar meñ hai
har taraf ek bebasi si in dinon manzar mein hai
gardish-e-dauran thami hai aur insan ghar mein hai
dekhna us ka shifa hai us ka chhuna zindagi
baat ye kaisi anokhi mere chaaragar mein hai
mausamon ki rut nai hai tum jo Thahre ho yahan
yani dhaDkan si har ek kankar mein aur patthar mein hai
nama-e-amal mein guftar se baDh kar bhi kuchh
pesh kar ghafil amal koi agar daftar mein hai
jis ko pi kar phir kisi bhi jam ki KHwahish na ho
bandagi ka wo nasha iqbaal ke saghar mein hai
'sahil'-e-dariya pe chhalka tha jo teri yaad mein
mere is aansu ki tabani har ek gauhar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.