har taraf KHushiyan hi KHushiyan thin nagar raushan tha
har taraf ḳhushiyāñ hī ḳhushiyāñ thiiñ nagar raushan thā
ham jise chhoḌ ke aa.e the vo ghar raushan thā
raushnī meñ bhī añdheroñ kā gumāñ hotā hai
tum mire saath the jab tak to safar raushan thā
vo mujhe chhoḌ gayā par use mālūm na thā
duur tak azm-e-safar saath thā dar raushan thā
log shāyad use āsār-e-qadīma samjheñ
is udāsī pe na jā ye bhī khañDar raushan thā
ḳhud-numā.ī kā use aane lagā kaisā nasha
jis taraf us kī nigāheñ thiiñ hunar raushan thā
bādshāhat mire hisse meñ kabhī thī hī nahīñ
phir bhī peshānī pe vo shams-o-qamar raushan thā
us kī qismat meñ bhī thoḌā sā ujālā thā 'surūr'
jo diyā bujhtā huā vaqt-e-sahar raushan thā
har taraf KHushiyan hi KHushiyan thin nagar raushan tha
hum jise chhoD ke aae the wo ghar raushan tha
raushni mein bhi andheron ka guman hota hai
tum mere sath the jab tak to safar raushan tha
wo mujhe chhoD gaya par use malum na tha
dur tak azm-e-safar sath tha dar raushan tha
log shayad use aasar-e-qadima samjhen
is udasi pe na ja ye bhi khanDar raushan tha
KHud-numai ka use aane laga kaisa nasha
jis taraf us ki nigahen thin hunar raushan tha
baadshahat mere hisse mein kabhi thi hi nahin
phir bhi peshani pe wo shams-o-qamar raushan tha
us ki qismat mein bhi thoDa sa ujala tha 'surur'
jo diya bujhta hua waqt-e-sahar raushan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.