Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har taraf nala-o-fariyaad ke manzar dekhen

Obaid Haris

har taraf nala-o-fariyaad ke manzar dekhen

Obaid Haris

MORE BYObaid Haris

    har taraf nāla-o-fariyād ke manzar dekheñ

    tujh ko dekheñ ki tirā shahr-e-sitamgar dekheñ

    duur se vo nazar aa.egā bas ik saa.e

    us ko dekheñ to zarā paas bulā kar dekheñ

    chāñd sūraj na sitāre haiñ hamāre bas meñ

    ek miTTī diyā hai so jalā kar dekheñ

    ham badal sakte haiñ ḳhud ko ye baḌī baat nahīñ

    shart itnī hai ki bāhar nahīñ andar dekheñ

    mom us badan hai yahī kahte haiñ sab

    meñ aatā hai chalo aaj use chhū kar dekheñ

    aaj aḳhbār meñ aa.ī hai ġhazal 'hāris'

    aadmī ḳhuub hai kaisā hai suḳhanvar dekheñ

    har taraf nala-o-fariyaad ke manzar dekhen

    tujh ko dekhen ki tera shahr-e-sitamgar dekhen

    dur se wo nazar aaega bas ek sae sa

    us ko dekhen to zara pas bula kar dekhen

    chand suraj na sitare hain hamare bas mein

    ek miTTi ka diya hai so jala kar dekhen

    hum badal sakte hain KHud ko ye baDi baat nahin

    shart itni hai ki bahar nahin andar dekhen

    mom sa us ka badan hai yahi kahte hain sab

    ji mein aata hai chalo aaj use chhu kar dekhen

    aaj aKHbar mein aai hai ghazal 'haaris' ki

    aadmi KHub hai kaisa hai suKHanwar dekhen

    Source :
    • Book : Atraaf (Pg. 25)
    • Author : Obaid Haris
    • Publication : National Human For Needful Foundation, Nagpur (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now