har taraf patthar hi patthar darmiyan shishe ka ghar
har taraf patthar hi patthar darmiyan shishe ka ghar
Syed Tayyab Wasti
MORE BYSyed Tayyab Wasti
har taraf patthar hī patthar darmiyāñ shīshe kā ghar
le rahā hai shāyad apnā imtihāñ shīshe kā ghar
duur tak har samt haiñ lākhoñ dhanak bikhre hue
TuuT kar hai aur bhī kuchh zau-fishāñ shīshe kā ghar
kyoñ ghane peḌoñ ke sāyoñ se bulātā hai unheñ
ban rahā hai kyoñ mazāq-e-rah-ravāñ shīshe kā ghar
hai ye behtar pattharoñ ke daur meñ vāpas chaleñ
dhīre dhīre ban gayā saarā jahāñ shīshe kā ghar
nam zamīñ par TuuTī phūTī phuus kī chhat ke tale
kar rahā huuñ yaad dekhā thā kahāñ shīshe kā ghar
us kī shaffāfī hī us kā husn us kī zindagī
kaise ban jā.egā 'tayyab' sā.ebāñ shīshe kā ghar
har taraf patthar hi patthar darmiyan shishe ka ghar
le raha hai shayad apna imtihan shishe ka ghar
dur tak har samt hain lakhon dhanak bikhre hue
TuT kar hai aur bhi kuchh zau-fishan shishe ka ghar
kyon ghane peDon ke sayon se bulata hai unhen
ban raha hai kyon mazaq-e-rah-rawan shishe ka ghar
hai ye behtar pattharon ke daur mein wapas chalen
dhire dhire ban gaya sara jahan shishe ka ghar
nam zamin par TuTi phuTi phus ki chhat ke tale
kar raha hun yaad dekha tha kahan shishe ka ghar
us ki shaffafi hi us ka husn us ki zindagi
kaise ban jaega 'tayyab' saeban shishe ka ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.