har taraf ret ka ijara hai
har taraf ret kā ijārā hai
ya.anī sahrā meñ bhī ḳhasārā hai
rah ga.e haiñ ham aadhe shāḳhoñ par
us ne yuuñ khīñch kar utārā hai
paañv dho jā hamārī miTTī par
in zamīnoñ kā paanī khārā hai
ham paḌe rah ga.e haiñ tah meñ kahīñ
aap ne ḳhud ko yuuñ nithārā hai
jaan par ban ga.ī hai ḳhushbū kī
tū ne gul-dān kyā sañvārā hai
aa.ina qaht meñ huā ījād
ḳhud-parastī kā isti.ārā hai
vaqt ke bhaav baḌh ga.e haiñ 'munīr'
zindagī kā ajab guzārā hai
har taraf ret ka ijara hai
yani sahra mein bhi KHasara hai
rah gae hain hum aadhe shaKHon par
us ne yun khinch kar utara hai
panw dho ja hamari miTTi par
in zaminon ka pani khaara hai
hum paDe rah gae hain tah mein kahin
aap ne KHud ko yun nithaara hai
jaan par ban gai hai KHushbu ki
tu ne gul-dan kya sanwara hai
aaina qaht mein hua ijad
KHud-parasti ka istiara hai
waqt ke bhaw baDh gae hain 'munir'
zindagi ka ajab guzara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.