har taraf udasi hai hausle bhi zaKHmi hain
har taraf udāsī hai hausle bhī zaḳhmī haiñ
dil-lagī ke mausam meñ qahqahe bhī zaḳhmī haiñ
vahshatoñ ke pairoñ meñ kaun bāñdhe zanjīreñ
kyā kareñ kahāñ jaa.eñ faisle bhī zaḳhmī haiñ
be-hayā.ī ke saa.e ġhālib aa ga.e ham par
āj-kal tamaddun ke zāviye bhī zaḳhmī haiñ
rāh-o-rasm kā qaa.il ab nahīñ rahā insāñ
haiñ lahū lahū rishte rābte bhī zaḳhmī haiñ
kīmiyā.ī fasloñ ke baa.is ab ġhizāoñ se
gum huī ġhizā.iyyat zā.iqe bhī zaḳhmī haiñ
ab kahāñ nikalte haiñ hāsil-e-ġhazal ash.ār
chīḳhtī radīfeñ haiñ qāfiye bhī zaḳhmī haiñ
be-ġharaz nahīñ jaatā ab koī ayādat ko
ab to ġham-gusārī ke mashġhale bhī zaḳhmī haiñ
al-ġharaz pahuñchnā hai āgahī kī manzil par
hasrateñ haiñ pazhmurda rāste bhī zaḳhmī haiñ
'shād' kis tarah apnā ilm bāñTeñ auroñ ko
nutq-o-lab muqaffal haiñ falsafe bhī zaḳhmī haiñ
har taraf udasi hai hausle bhi zaKHmi hain
dil-lagi ke mausam mein qahqahe bhi zaKHmi hain
wahshaton ke pairon mein kaun bandhe zanjiren
kya karen kahan jaen faisle bhi zaKHmi hain
be-hayai ke sae ghaalib aa gae hum par
aaj-kal tamaddun ke zawiye bhi zaKHmi hain
rah-o-rasm ka qail ab nahin raha insan
hain lahu lahu rishte rabte bhi zaKHmi hain
kimiyai faslon ke bais ab ghizaon se
gum hui ghizaiyyat zaiqe bhi zaKHmi hain
ab kahan nikalte hain hasil-e-ghazal ashaar
chiKHti radifen hain qafiye bhi zaKHmi hain
be-gharaz nahin jata ab koi ayaadat ko
ab to gham-gusari ke mashghale bhi zaKHmi hain
al-gharaz pahunchna hai aagahi ki manzil par
hasraten hain pazhmurda raste bhi zaKHmi hain
'shad' kis tarah apna ilm banTen auron ko
nutq-o-lab muqaffal hain falsafe bhi zaKHmi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.