har taraf ye hi tamasha chal raha hai
har taraf ye hī tamāsha chal rahā hai
ishq meñ jhūTā dikhāvā chal rahā hai
ishq meñ to ishq chalnā chāhiye thā
yaar kyoñ jhagḌā hamārā chal rahā hai
muddatoñ se aañkh ro.e jā rahī hai
vaqt ya.anī hijr vaalā chal rahā hai
asl meñ bichhḌe to ik muddat huī hai
bas dikhāve ko hī rishta chal rahā hai
zindagī ye laash ban kar rah ga.ī hai
bin tumhāre kyā guzārā chal rahā hai
har taraf ye hi tamasha chal raha hai
ishq mein jhuTa dikhawa chal raha hai
ishq mein to ishq chalna chahiye tha
yar kyon jhagDa hamara chal raha hai
muddaton se aankh roe ja rahi hai
waqt yani hijr wala chal raha hai
asl mein bichhDe to ek muddat hui hai
bas dikhawe ko hi rishta chal raha hai
zindagi ye lash ban kar rah gai hai
bin tumhaare kya guzara chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.