har taraf zindagi ka matam hai
har taraf zindagī kā mātam hai
sirf merā hī ġham zarā kam hai
daaġh ḳhuuñ ke guloñ pe dikhte haiñ
jaane kaisā ḳhudā ye mausam hai
ye zamāna mirā huā dushman
mere hāthoñ meñ sach kā parcham hai
zaḳhm apne maiñ bhuul jaatā huuñ
pyaar kaisā ‘ajīb marham hai
vaqt ke saath jo badal jaa.e
phir vo insāñ kahāñ hai mausam hai
aañkh kahtī haiñ dard siine kā
jism jarjar hai aañkh meñ dam hai
de rahā jo dalīl ḳhud jhūTī
aadmī vo zarūr be-dam hai
har taraf zindagi ka matam hai
sirf mera hi gham zara kam hai
dagh KHun ke gulon pe dikhte hain
jaane kaisa KHuda ye mausam hai
ye zamana mera hua dushman
mere hathon mein sach ka parcham hai
zaKHm apne main bhul jata hun
pyar kaisa ‘ajib marham hai
waqt ke sath jo badal jae
phir wo insan kahan hai mausam hai
aankh kahti hain dard sine ka
jism jarjar hai aankh mein dam hai
de raha jo dalil KHud jhuTi
aadmi wo zarur be-dam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.