har tarah hum hi tere sath hue jate hain
har tarah ham hī tire saath hue jaate haiñ
phir bhī ham hī se savālāt hue jaate haiñ
kis ko fursat hai yahāñ jo tujhe soche din-rāt
ek ham haiñ tire din-rāt hue jaate haiñ
ek to ham ne hī kam kar diyā milnā-julnā
aur kuchh log bhī mohtāt hue jaate haiñ
hijr ne ab ke baras tai kiye lamhe kyā kyā
fāsle bazm-e-mulāqāt hue jaate haiñ
aañkh ko kyā kisī manzar pe bharosa na rahā
ḳhvāb sab nazr-e-ḳharābāt hue jaate haiñ
har tarah hum hi tere sath hue jate hain
phir bhi hum hi se sawalat hue jate hain
kis ko fursat hai yahan jo tujhe soche din-raat
ek hum hain tere din-raat hue jate hain
ek to hum ne hi kam kar diya milna-julna
aur kuchh log bhi mohtat hue jate hain
hijr ne ab ke baras tai kiye lamhe kya kya
fasle bazm-e-mulaqat hue jate hain
aankh ko kya kisi manzar pe bharosa na raha
KHwab sab nazr-e-KHarabaat hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.