har tarah ka do-jahan mein saz hai saman hai
har tarah kā do-jahāñ meñ saaz hai sāmān hai
lafz-e-kun se irtiqā kā aur bhī imkān hai
zaat ke irfān se hāsil rumūz-e-kā.enāt
zaat se shā.ir ke hāsil husn kā vijdān hai
ik tamāshā māh-o-gul kā āsmāñ se tā-zamīñ
aadmī sad-rañg jalva dekh kar hairān hai
sharm se ruḳhsār-e-gul kuchh aur gulgūñ ho gayā
is asar par aa.ine kī aañkh bhī hairān hai
aap kī jamhūriyat meñ sab to haiñ shā.ir nahīñ
shā.erī har qaum kī tahzīb kī pahchān hai
husn ko denā 'payāmī' shā.erī kā pairahan
farsh se tā-arsh mauj-e-rang kā tūfān hai
har tarah ka do-jahan mein saz hai saman hai
lafz-e-kun se irtiqa ka aur bhi imkan hai
zat ke irfan se hasil rumuz-e-kaenat
zat se shair ke hasil husn ka wijdan hai
ek tamasha mah-o-gul ka aasman se ta-zamin
aadmi sad-rang jalwa dekh kar hairan hai
sharm se ruKHsar-e-gul kuchh aur gulgun ho gaya
is asar par aaine ki aankh bhi hairan hai
aap ki jamhuriyat mein sab to hain shair nahin
shaeri har qaum ki tahzib ki pahchan hai
husn ko dena 'payami' shaeri ka pairahan
farsh se ta-arsh mauj-e-rang ka tufan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.