har tasalli rahi nakaam to phir kya hoga
har tasallī rahī nākām to phir kyā hogā
bujh gayā dil hī sar-e-shām to phir kyā hogā
har qadam dār-o-rasan manzil-e-jānāñ hai ab
ishq kā ho yahī anjām to phir kyā hogā
morid-e-jurm Thaharte haiñ faqat ahl-e-junūñ
yūñhī hote rahe badnām to phir kyā hogā
safar-e-manzil-e-jānāñ to hai paiġhām-e-ajal
shauq kā ho yahī in.aam to phir kyā hogā
jis ke aage nahīñ parvā-e-matā-e-dil-o-jāñ
ahl-e-dil paa.eñ vo paiġhām to phir kyā hogā
jis pe ḳhud ko haiñ luTā baiThe 'zubair' ahl-e-talab
vahī dāvat jo huī aam to phir kyā hogā
har tasalli rahi nakaam to phir kya hoga
bujh gaya dil hi sar-e-sham to phir kya hoga
har qadam dar-o-rasan manzil-e-jaanan hai ab
ishq ka ho yahi anjam to phir kya hoga
morid-e-jurm Thaharte hain faqat ahl-e-junun
yunhi hote rahe badnam to phir kya hoga
safar-e-manzil-e-jaanan to hai paigham-e-ajal
shauq ka ho yahi inam to phir kya hoga
jis ke aage nahin parwa-e-mata-e-dil-o-jaan
ahl-e-dil paen wo paigham to phir kya hoga
jis pe KHud ko hain luTa baiThe 'zubair' ahl-e-talab
wahi dawat jo hui aam to phir kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.