har-waqt ulajhta hai ye dil zulf-e-duta mein
har-waqt ulajhta hai ye dil zulf-e-duta mein
Mohammad Wilayatullah
MORE BYMohammad Wilayatullah
Interesting Fact
January 1939
har-vaqt ulajhtā hai ye dil zulf-e-dutā meñ
samjhātā huuñ kam-baḳht na paḌ jā ke balā meñ
dekho na kabhī ḳhū-e-sitam apnī badalnā
miltā hai mazā ham ko bahut jaur-o-jafā meñ
kis lutf se ayyām guzarte haiñ hamāre
din nāla-o-fariyād meñ shab āh-o-bukā meñ
miTTī huī barbād tire 'ishq meñ aisī
kuchh ḳhaak ke zarre nazar aate haiñ havā meñ
kyuuñ chal diye mai-ḳhāne se ai shaiḳh Thaharnā
poshīda nazar aatā hai kuchh aaj abā meñ
kahtī hai ye tauba ki gunahgār maiñ behtar
ai dil kabhī bhūle se bhī paḌnā na riyā meñ
kar duuñ shab-e-furqat kā bayāñ hashr meñ lekin
Dartā huuñ tavālat na paḌe roz-e-jazā meñ
marnā jise kahte haiñ vo hai ziist kā āġhāz
miltī hai baqā sab ko isī rāh-e-fanā meñ
kis ke liye allāh ne jannat ko banāyā
bande to yahāñ rahte haiñ har vaqt ḳhatā meñ
maqbūl huī hashr meñ gar merī ḳhajālat
mil jā.egī jannat bhī gunāhoñ kī sazā meñ
vā'iz kahe kuchh bhī hameñ mā'lūm hai yārab
sau ḳhuld haiñ poshīda tirī ek razā meñ
hil jaatī hai duniyā mirī fariyād se 'hāfiz'
tāsīr ġhazab kī hai mirī āh-e-rasā meñ
har-waqt ulajhta hai ye dil zulf-e-duta mein
samjhata hun kam-baKHt na paD ja ke bala mein
dekho na kabhi KHu-e-sitam apni badalna
milta hai maza hum ko bahut jaur-o-jafa mein
kis lutf se ayyam guzarte hain hamare
din nala-o-fariyaad mein shab aah-o-buka mein
miTTi hui barbaad tere 'ishq mein aisi
kuchh KHak ke zarre nazar aate hain hawa mein
kyun chal diye mai-KHane se ai shaiKH Thaharna
poshida nazar aata hai kuchh aaj aba mein
kahti hai ye tauba ki gunahgar main behtar
ai dil kabhi bhule se bhi paDna na riya mein
kar dun shab-e-furqat ka bayan hashr mein lekin
Darta hun tawalat na paDe roz-e-jaza mein
marna jise kahte hain wo hai zist ka aaghaz
milti hai baqa sab ko isi rah-e-fana mein
kis ke liye allah ne jannat ko banaya
bande to yahan rahte hain har waqt KHata mein
maqbul hui hashr mein gar meri KHajalat
mil jaegi jannat bhi gunahon ki saza mein
wa'iz kahe kuchh bhi hamein ma'lum hai yarab
sau KHuld hain poshida teri ek raza mein
hil jati hai duniya meri fariyaad se 'hafiz'
tasir ghazab ki hai meri aah-e-rasa mein
- Soz-o-gudaaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.