har waqt ye dil aap ki taswir nihaare
har vaqt ye dil aap kī tasvīr nihāre
bechāra akelā hai bhalā kis ko pukāre
kyoñ aañkh se bah jaa.e na ashkoñ kā samundar
ik 'umr basar karnī hai yādoñ ke sahāre
kyā bhuul ga.e ham meñ ye duniyā bhī baTī thī
sab aap ke hisse meñ thā aur aap hamāre
āñkheñ jo tire naam thiiñ ab bhī vo tirī haiñ
aañsū ke ka.ī qatre abhī tak haiñ kuñvāre
vo maiñ hī thā pāgal ki tirī chaah meñ gum thā
hālāñki kiye vaqt ne har-chand ishāre
yak-laḳht jo ujḌā hai to dobāra na dekhā
mā'sūm se sapne ko koī yuuñ to na maare
ḳhushbū na koī rang na kaliyoñ kā tabassum
is dā.imī patjhaḌ ko koī kaise guzāre
'nāsir' zarā nīñdoñ se bhī aTkheliyāñ kar le
ye chāñd bhī ab duub gayā bujh ga.e taare
har waqt ye dil aap ki taswir nihaare
bechaara akela hai bhala kis ko pukare
kyon aankh se bah jae na ashkon ka samundar
ek 'umr basar karni hai yaadon ke sahaare
kya bhul gae hum mein ye duniya bhi baTi thi
sab aap ke hisse mein tha aur aap hamare
aankhen jo tere nam thin ab bhi wo teri hain
aansu ke kai qatre abhi tak hain kunware
wo main hi tha pagal ki teri chah mein gum tha
haalanki kiye waqt ne har-chand ishaare
yak-laKHt jo ujDa hai to dobara na dekha
ma'sum se sapne ko koi yun to na mare
KHushbu na koi rang na kaliyon ka tabassum
is daimi patjhaD ko koi kaise guzare
'nasir' zara nindon se bhi aTkheliyan kar le
ye chand bhi ab dub gaya bujh gae tare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.