har zaban par hai guftugu teri
har zabāñ par hai guftugū terī
hai har ik dil meñ aarzū terī
mehr-o-mah donoñ tujh se shashdar haiñ
ye tajallī hai chār-sū terī
mai se ai shaiḳh gar tahārat kar
aabrū ho dam-e-vuzū terī
zulf sumbul hai aur kamar rag-e-gul
hai ye tārīf mū-ba-mū terī
gul na phūleñ samā.e jaame meñ
gar sabā se vo paa.eñ bū terī
laa.ī aahū ko daam meñ goyā
aañkh par zulf-e-mushkbū terī
dur-e-dandāñ pe to fidā 'ahqar'
chashm-e-giryāñ hai aabrū terī
har zaban par hai guftugu teri
hai har ek dil mein aarzu teri
mehr-o-mah donon tujh se shashdar hain
ye tajalli hai chaar-su teri
mai se ai shaiKH gar tahaarat kar
aabru ho dam-e-wuzu teri
zulf sumbul hai aur kamar rag-e-gul
hai ye tarif mu-ba-mu teri
gul na phulen samae jame mein
gar saba se wo paen bu teri
lai aahu ko dam mein goya
aankh par zulf-e-mushkbu teri
dur-e-dandan pe to fida 'ahqar'
chashm-e-giryan hai aabru teri
- Book : Naqshha-e-rang rang (Pg. 55)
- Author : Radhe Shiyaam Ahqar
- Publication : Nami Press Lucknow (1953)
- Edition : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.