haram kahta hai kuchh dair-e-butan kuchh aur kahta hai
haram kahtā hai kuchh dair-e-butāñ kuchh aur kahtā hai
tarīq-e-manzil-e-vāraftgāñ kuchh aur kahtā hai
har ik se un kā vahshī dāstāñ kuchh aur kahtā hai
nahīñ hotā jahāñ koī vahāñ kuchh aur kahtā hai
amīr-e-kārvāñ kyā hai ḳhudā-e-kārvāñ ham the
magar ab to ġhubār-e-kārvāñ kuchh aur kahtā hai
har ik jalve meñ ik parda har ik parda meñ ik jalva
ba-har-sūrat sahāb-e-darmiyāñ kuchh aur kahtā hai
janāb-e-shaiḳh ke lab par ḳhudā kā naam aatā hai
subūhī-kash magar vaqt-e-azāñ kuchh aur kahtā hai
ye maanā jannat-e-husn-e-nazar thī zindagī apnī
magar ḳhamyāza-e-umr-e-ravāñ kuchh aur kahtā hai
mirī hastī kā har zarra hai gunjā.ish-talab ab tak
ki pā kar vus.at-e-kaun-o-makāñ kuchh aur kahtā hai
qafas meñ laakh sāmān-e-tarab sayyād hai lekin
mirā naala ba-nām-e-āshiyāñ kuchh aur kahtā hai
nahīñ hotī hai hujjat ḳhatm tanhā āb-o-dāna par
are sayyād asīr-e-be-zabāñ kuchh aur kahtā hai
utārī jā rahī haiñ qaidiyoñ kī beḌiyāñ lekin
nishān-e-halqa-e-tauq-e-garāñ kuchh aur kahtā hai
ajab uljhan meñ Daalā tū ne o muñh pherne vaale
ki dil kuchh aur kahtā hai gumāñ kuchh aur kahtā hai
mirā har ek sajda muntazir hai qaul-e-faisal kā
jabīñ kuchh kah rahī hai āstāñ kuchh aur kahtā hai
kalām-e-'mīr'-o-'mirzā' qābil-e-sad-nāz hai 'afqar'
magar 'momin' kā andāz-e-bayāñ kuchh aur kahtā hai
haram kahta hai kuchh dair-e-butan kuchh aur kahta hai
tariq-e-manzil-e-waraftgan kuchh aur kahta hai
har ek se un ka wahshi dastan kuchh aur kahta hai
nahin hota jahan koi wahan kuchh aur kahta hai
amir-e-karwan kya hai KHuda-e-karwan hum the
magar ab to ghubar-e-karwan kuchh aur kahta hai
har ek jalwe mein ek parda har ek parda mein ek jalwa
ba-har-surat sahab-e-darmiyan kuchh aur kahta hai
janab-e-shaiKH ke lab par KHuda ka nam aata hai
subuhi-kash magar waqt-e-azan kuchh aur kahta hai
ye mana jannat-e-husn-e-nazar thi zindagi apni
magar KHamyaza-e-umr-e-rawan kuchh aur kahta hai
meri hasti ka har zarra hai gunjaish-talab ab tak
ki pa kar wusat-e-kaun-o-makan kuchh aur kahta hai
qafas mein lakh saman-e-tarab sayyaad hai lekin
mera nala ba-nam-e-ashiyan kuchh aur kahta hai
nahin hoti hai hujjat KHatm tanha aab-o-dana par
are sayyaad asir-e-be-zaban kuchh aur kahta hai
utari ja rahi hain qaidiyon ki beDiyan lekin
nishan-e-halqa-e-tauq-e-garan kuchh aur kahta hai
ajab uljhan mein Dala tu ne o munh pherne wale
ki dil kuchh aur kahta hai guman kuchh aur kahta hai
mera har ek sajda muntazir hai qaul-e-faisal ka
jabin kuchh kah rahi hai aastan kuchh aur kahta hai
kalam-e-'mir'-o-'mirza' qabil-e-sad-naz hai 'afqar'
magar 'momin' ka andaz-e-bayan kuchh aur kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.