haram mein koi jalwa tum na but-KHane mein rakh dena
haram mein koi jalwa tum na but-KHane mein rakh dena
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
haram meñ koī jalva tum na but-ḳhāne meñ rakh denā
ye sarmāya hai dil kā dil ke kāshāne meñ rakh denā
agar manzūr kaif-e-nau ho but-ḳhāne meñ rakh denā
to gardish chashm-e-bāda-gūñ kī paimāne meñ rakh denā
tabassum lab kā hastī aañkh kī 'āriz kī rangīnī
ye guldasta hai ye bhī dil ke kāshāne meñ rakh denā
nishānī hai ye jiitī jāgtī ḳhūn-e-tamannā kī
yahī 'unvān mere baa'd afsāne meñ rakh denā
fazā-e-dahr ko mast-o-munavvar jis ne rakkhā hai
simaT jaa.e ye rā'nā.ī to paimāne meñ rakh denā
mirī ik ik taḌap ā.īna-e-dard-e-mohabbat ho
koī aisā bhī pahlū dil ke taḌpāne meñ rakh denā
kahe kaun un se 'zāhir' ek bijlī apne jalvoñ kī
hamāre tīra-o-tārīk kāshāne meñ rakh denā
haram mein koi jalwa tum na but-KHane mein rakh dena
ye sarmaya hai dil ka dil ke kashane mein rakh dena
agar manzur kaif-e-nau ho but-KHane mein rakh dena
to gardish chashm-e-baada-gun ki paimane mein rakh dena
tabassum lab ka hasti aankh ki 'ariz ki rangini
ye guldasta hai ye bhi dil ke kashane mein rakh dena
nishani hai ye jiti jagti KHun-e-tamanna ki
yahi 'unwan mere ba'd afsane mein rakh dena
faza-e-dahr ko mast-o-munawwar jis ne rakkha hai
simaT jae ye ra'nai to paimane mein rakh dena
meri ek ek taDap aaina-e-dard-e-mohabbat ho
koi aisa bhi pahlu dil ke taDpane mein rakh dena
kahe kaun un se 'zahir' ek bijli apne jalwon ki
hamare tira-o-tarik kashane mein rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.