haram-o-dair-o-kalisa se nikal aaya hun
haram-o-dair-o-kalisa se nikal aaya hun
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
haram-o-dair-o-kalīsā se nikal aaya huuñ
tab kahīñ jā ke maiñ insān se mil paayā huuñ
kaale patthar pe bhaTakte hue qadmoñ ke nishāñ
mujh se miliye maiñ na.ī nasl kā sarmāya huuñ
maiñ bhī ehsās kī bhaTTī meñ paḌā huuñ ye batā
kaise añgāre tirī palkoñ pe dekh aaya huuñ
fāsla kitnā bhī ho is ghanī ābādī meñ
ye haqīqat hai ki maiñ aap kā ham-sāya huuñ
mujh ko zaa.e.a na karo āñkhoñ meñ rahne do mujhe
huuñ to qatra hī magar aap garāñ-māya huuñ
aur kuchh der isī shāḳh pe rahne diije
abhī ehsās hai zinda abhī murjhāyā huuñ
mujh ko alfāz kā jaadū nahīñ aatā 'naqvī'
baat jo dil meñ rahī hai vo na kah paayā huuñ
haram-o-dair-o-kalisa se nikal aaya hun
tab kahin ja ke main insan se mil paya hun
kale patthar pe bhaTakte hue qadmon ke nishan
mujh se miliye main nai nasl ka sarmaya hun
main bhi ehsas ki bhaTTi mein paDa hun ye bata
kaise angare teri palkon pe dekh aaya hun
fasla kitna bhi ho is ghani aabaadi mein
ye haqiqat hai ki main aap ka ham-saya hun
mujh ko zaea na karo aankhon mein rahne do mujhe
hun to qatra hi magar aap garan-maya hun
aur kuchh der isi shaKH pe rahne dije
abhi ehsas hai zinda abhi murjhaya hun
mujh ko alfaz ka jadu nahin aata 'naqwi'
baat jo dil mein rahi hai wo na kah paya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.