hare hue nahin atraf ke shajar mere
hare hue nahīñ atrāf ke shajar mere
mujhe to yuuñ bhī izāfī haiñ bāl-o-par mere
bhaTakne vaale bhī ik roz ghar pahuñchte haiñ
batā rahā thā koī haath dekh kar mere
kuchh is liye bhī mujhe rāsta durust lagā
chale nahīñ the mire saath ham-safar mere
bichhaḌne par mirī poroñ se ḳhuun risne lagā
qarīb rahne lagā thā vo is qadar mere
maiñ apnī khoj meñ niklā thā raftagāñ kī taraf
bikhar ga.e haiñ zamāne idhar udhar mere
faroḳht hone pe āmāda ho gayā āḳhir
mujhe charāġh na kahte the kūza-gar mere
hare hue nahin atraf ke shajar mere
mujhe to yun bhi izafi hain baal-o-par mere
bhaTakne wale bhi ek roz ghar pahunchte hain
bata raha tha koi hath dekh kar mere
kuchh is liye bhi mujhe rasta durust laga
chale nahin the mere sath ham-safar mere
bichhaDne par meri poron se KHun risne laga
qarib rahne laga tha wo is qadar mere
main apni khoj mein nikla tha raftagan ki taraf
bikhar gae hain zamane idhar udhar mere
faroKHt hone pe aamada ho gaya aaKHir
mujhe charagh na kahte the kuza-gar mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.