harf-e-haq meri zaban se jo nikal paDta hai
harf-e-haq merī zabāñ se jo nikal paḌtā hai
sāmne vaale kī peshānī pe bal paḌtā hai
in dinoñ dil kā ajab haal huā hai hamdam
baat be-bāt pe kam-baḳht uchhal paḌtā hai
va.ada-e-vasl hai parsoñ kā magar yaad rahe
darmiyāñ apnī mulāqāt ke kal paḌtā hai
chāñd par jaao ki mirrīḳh pe pahuñcho lekin
us se aage kī na socho ki zuhal paḌtā hai
badduā laakh karo tum mire haq meñ logo
mere kāmoñ meñ kahāñ is se ḳhalal paḌtā hai
tum se tanhā.ī meñ milne kī tamanna hai magar
mere hamrāh mirā saaya bhī chal paḌtā hai
tum baḌe ho to 'razā' zarf samundar sā rakho
kyoñ ki tālāb to bārish meñ ubal paḌtā hai
harf-e-haq meri zaban se jo nikal paDta hai
samne wale ki peshani pe bal paDta hai
in dinon dil ka ajab haal hua hai hamdam
baat be-baat pe kam-baKHt uchhal paDta hai
wada-e-wasl hai parson ka magar yaad rahe
darmiyan apni mulaqat ke kal paDta hai
chand par jao ki mirriKH pe pahuncho lekin
us se aage ki na socho ki zuhal paDta hai
baddua lakh karo tum mere haq mein logo
mere kaamon mein kahan is se KHalal paDta hai
tum se tanhai mein milne ki tamanna hai magar
mere hamrah mera saya bhi chal paDta hai
tum baDe ho to 'raza' zarf samundar sa rakho
kyon ki talab to barish mein ubal paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.