harf-e-tadbir na tha harf-e-dilasa raushan
harf-e-tadbīr na thā harf-e-dilāsa raushan
maiñ jo Duubā to huā sāhil-e-dariyā raushan
ahd meñ apne musallat hai añdheroñ kā azaab
taaq meñ vaqt ke rakh do koī lamha raushan
yūsuf-āsā sar-e-bāzār haiñ rusvā lekin
vādī-e-ishq meñ hai azm-e-zuleḳhā raushan
jo mirī maañ ne diyā raḳht-e-safar kī sūrat
mere māthe pe abhī tak hai vo bosa raushan
tiir añdheroñ ke mujhe zad meñ liye baiThe haiñ
jaise is bazm meñ huuñ maiñ hī akelā raushan
ain mumkin hai pighal jaa.eñ añdhere dil ke
ai 'zafar' aise meñ ho gar koī naġhma raushan
harf-e-tadbir na tha harf-e-dilasa raushan
main jo Duba to hua sahil-e-dariya raushan
ahd mein apne musallat hai andheron ka azab
taq mein waqt ke rakh do koi lamha raushan
yusuf-asa sar-e-bazar hain ruswa lekin
wadi-e-ishq mein hai azm-e-zuleKHa raushan
jo meri man ne diya raKHt-e-safar ki surat
mere mathe pe abhi tak hai wo bosa raushan
tir andheron ke mujhe zad mein liye baiThe hain
jaise is bazm mein hun main hi akela raushan
ain mumkin hai pighal jaen andhere dil ke
ai 'zafar' aise mein ho gar koi naghma raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.