harf hun apne maani DhunDhta hun
harf huuñ apne ma.ānī DhūñDhtā huuñ
meñ haqīqat meñ kahānī DhūñDhtā huuñ
tang aa kar tangī-e-kaun-o-makāñ se
apne andar be-karānī DhūñDhtā huuñ
chhāntā huuñ ḳhaak sahrā-e-adam meñ
apne hone kī nishānī DhūñDhtā huuñ
merī har jānib na.e chehre saje haiñ
ab koī sūrat purānī DhūñDhtā huuñ
māñgtā huuñ tarz-e-nau rasm-e-kuhan se
ḳhushk dariyā meñ ravānī DhūñDhtā huuñ
aarzū ke biich muTThī meñ dabā.e
ziist ke sahrā meñ paanī DhūñDhtā huuñ
harf kī hiddat se lab jalne lage haiñ
ab zabān-e-be-zabānī DhūñDhtā huuñ
jo sikhā de āshtī ahl-e-zamīñ ko
vo kitāb-e-āsmānī DhūñDhtā huuñ
harf hun apne maani DhunDhta hun
mein haqiqat mein kahani DhunDhta hun
tang aa kar tangi-e-kaun-o-makan se
apne andar be-karani DhunDhta hun
chhanta hun KHak sahra-e-adam mein
apne hone ki nishani DhunDhta hun
meri har jaanib nae chehre saje hain
ab koi surat purani DhunDhta hun
mangta hun tarz-e-nau rasm-e-kuhan se
KHushk dariya mein rawani DhunDhta hun
aarzu ke bich muTThi mein dabae
zist ke sahra mein pani DhunDhta hun
harf ki hiddat se lab jalne lage hain
ab zaban-e-be-zabani DhunDhta hun
jo sikha de aashti ahl-e-zamin ko
wo kitab-e-asmani DhunDhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.