harf ke phul chun ke late the
harf ke phuul chun ke laate the
roz taaza ġhazal sunāte the
dard kī sūratoñ meñ ik ghar thā
us kī vīrāniyāñ sajāte the
zindagī diary meñ likhte the
aur phir diary jalāte the
ik shajar thā jo us ke jaisā thā
us ko ham hāl-e-dil sunāte the
ab añdhere meñ baiThe rahte haiñ
pahle aksar diye jalāte the
us ke lahje kī zad meñ aate hī
kāñch ke ḳhvāb TuuT jaate the
zindagī kī galī meñ bhī kuchh log
maut kā giit gungunāte the
apne ġham se kashīd kar ke hañsī
ḳhud hī apnā fareb khāte the
be-niyāzī bhī ek ne.amat thī
yaad karte hī bhuul jaate the
āñsuoñ meñ bhigo ke rakhte the
phuul to phir bhī suukh jaate the
zindagī se kabhī milī ho 'sahar'
kuchh bulāve to tum ko aate the
harf ke phul chun ke late the
roz taza ghazal sunate the
dard ki suraton mein ek ghar tha
us ki viraniyan sajate the
zindagi diary mein likhte the
aur phir diary jalate the
ek shajar tha jo us ke jaisa tha
us ko hum haal-e-dil sunate the
ab andhere mein baiThe rahte hain
pahle aksar diye jalate the
us ke lahje ki zad mein aate hi
kanch ke KHwab TuT jate the
zindagi ki gali mein bhi kuchh log
maut ka git gungunate the
apne gham se kashid kar ke hansi
KHud hi apna fareb khate the
be-niyazi bhi ek neamat thi
yaad karte hi bhul jate the
aansuon mein bhigo ke rakhte the
phul to phir bhi sukh jate the
zindagi se kabhi mili ho 'sahar'
kuchh bulawe to tum ko aate the
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.