harf-o-alfaz-o-ma’ani ke hijabon mein na thi
harf-o-alfāz-o-ma’ānī ke hijāboñ meñ na thī
baat chehroñ par jo likkhī thī kitāboñ meñ na thī
'umr guzrī apne hī ghar kā bayābāñ chhānte
dilkashī itnī to chamkīle sarāboñ meñ na thī
maiñ thā apne 'ahd kī sachchā.iyoñ kā vo savāl
jis ko rad karne kī gunjā.ish javāboñ meñ na thī
ab huā mā'lūm tere shahr se hijrat ke baa'd
kyā ḳharābī thī jo ham ḳhāna-ḳharāboñ meñ na thī
uñgliyoñ kī ye jarāhat ye qalam kī ḳhastagī
kab hamārī zindagī aise ‘azāboñ meñ na thī
kar rahā huuñ kārobār-e-she'r meñ apne ko ḳharch
varna aisī mad koī ghar ke hisāboñ meñ na thī
ye bhī she’rī tajraboñ kā ik tasalsul hai 'fazā'
ab ġhazal jaisī hai vo kitnoñ ke ḳhvāboñ meñ na thī
harf-o-alfaz-o-ma’ani ke hijabon mein na thi
baat chehron par jo likkhi thi kitabon mein na thi
'umr guzri apne hi ghar ka bayaban chhante
dilkashi itni to chamkile sarabon mein na thi
main tha apne 'ahd ki sachchaiyon ka wo sawal
jis ko rad karne ki gunjaish jawabon mein na thi
ab hua ma'lum tere shahr se hijrat ke ba'd
kya KHarabi thi jo hum KHana-KHarabon mein na thi
ungliyon ki ye jarahat ye qalam ki KHastagi
kab hamari zindagi aise ‘azabon mein na thi
kar raha hun karobar-e-she'r mein apne ko KHarch
warna aisi mad koi ghar ke hisabon mein na thi
ye bhi she’ri tajrabon ka ek tasalsul hai 'faza'
ab ghazal jaisi hai wo kitnon ke KHwabon mein na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.