hargiz buton ke dil mein KHauf-e-KHuda nahin hai
hargiz butoñ ke dil meñ ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ hai
ye sang-dil haiñ in meñ bū-e-vafā nahīñ hai
mal mal ke ḳhuub dho lo āḳhir to hogā zāhir
hai ḳhuun āshiqoñ kā rang-e-hinā nahīñ hai
ye dekhtī na un ko kyoñ un ke saath jaatā
taqsīr aañkh kī hai dil kī ḳhatā nahīñ hai
bāġh-e-jahāñ meñ ham ne har ek gul ko sūñghā
ye phuul kāġhazī haiñ ḳhushbū zarā nahīñ hai
'asġhar' kī kuchh na pūchho mai-ḳhāna meñ paḌā hai
is banda-e-ḳhudā ko ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ hai
hargiz buton ke dil mein KHauf-e-KHuda nahin hai
ye sang-dil hain in mein bu-e-wafa nahin hai
mal mal ke KHub dho lo aaKHir to hoga zahir
hai KHun aashiqon ka rang-e-hina nahin hai
ye dekhti na un ko kyon un ke sath jata
taqsir aankh ki hai dil ki KHata nahin hai
bagh-e-jahan mein hum ne har ek gul ko sungha
ye phul kaghazi hain KHushbu zara nahin hai
'asghar' ki kuchh na puchho mai-KHana mein paDa hai
is banda-e-KHuda ko KHauf-e-KHuda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.