hargiz kisi bhi taur kisi ke na ho sake
hargiz kisī bhī taur kisī ke na ho sake
ham us ke baad aur kisī ke na ho sake
aayā thā aisā daur sabhī ke hue the ham
phir aayā aisā daur kisī ke na ho sake
afsos tum ko itnī bhī fursat nahīñ milī
tum mujh pe karte ġhaur kisī ke na ho sake
ya.anī ham umr bhar rahe barbād ḳhud meñ hī
ya.anī Thikāna-Thor kisī ke na ho sake
jo log sab kā ḳhaas bane phir rahe the 'aks'
vo log ḳhaas taur kisī ke na ho sake
hargiz kisi bhi taur kisi ke na ho sake
hum us ke baad aur kisi ke na ho sake
aaya tha aisa daur sabhi ke hue the hum
phir aaya aisa daur kisi ke na ho sake
afsos tum ko itni bhi fursat nahin mili
tum mujh pe karte ghaur kisi ke na ho sake
yani hum umr bhar rahe barbaad KHud mein hi
yani Thikana-Thor kisi ke na ho sake
jo log sab ka KHas bane phir rahe the 'aks'
wo log KHas taur kisi ke na ho sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.