hargiz Thahar na daera-e-iKHtiyar tak
hargiz Thahar na daera-e-iKHtiyar tak
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
hargiz Thahar na dā.era-e-iḳhtiyār tak
qismat ko rāhbar na banā kū-e-yār tak
vo dam meñ ā.eñge na dam-e-e'tibār tak
tū raah ek baar nahīñ laakh baar tak
pohñchā na aaj tak dar-e-parvardigār tak
har mudda'ī-e-shān dil-e-hoshiyār tak
mahrūmī-e-nasīb na thiiñ dil-farebiyāñ
Takrā ke aañkh rah ga.ī naqsh-o-nigār tak
us be-ḳhudī kī shaan ke qurbān jā.iye
jis kā tire karam se na ho kam ḳhumār tak
sajda-garī kī jaan hai har ārzū-e-dīd
lekin nazar pe dil ko nahīñ e'tibār tak
ab ḳhvāb meñ bhī jalva dikhāne se hai gurez
lo chhin gayā nazar kā mirī iḳhtiyār tak
dast-e-junūñ ne jism ko āzād kar diyā
rakkhā na pairahan se lagā ek taar tak
mīnā-e-bāryāb hai sāġhar kī bandagī
aayā kabhī na shīsha-e-dil meñ ġhubār tak
mā’rūza-e-vafā ko suneñ aap ek din
bandoñ kī Ter suntā hai parvardigār tak
afsurdagī kā raaz nazar kī ḳhizāñ meñ hai
varna hai har nigāh pe qurbāñ bahār tak
ġhunche mizāj-e-'ishq pe kaste haiñ phabtiyāñ
gul hī gavāh hoñge shahādat hazār tak
majnūñ ko rāh-e-'ishq meñ dīvāna dekh kar
paañv ko chūmne lage sahrā meñ ḳhaar tak
vo 'shād' kis tarah ho kisī ke huzūr meñ
jo dil uThā sake na mohabbat kā baar tak
hargiz Thahar na daera-e-iKHtiyar tak
qismat ko rahbar na bana ku-e-yar tak
wo dam mein aaenge na dam-e-e'tibar tak
tu rah ek bar nahin lakh bar tak
pohncha na aaj tak dar-e-parwardigar tak
har mudda'i-e-shan dil-e-hoshiyar tak
mahrumi-e-nasib na thin dil-farebiyan
Takra ke aankh rah gai naqsh-o-nigar tak
us be-KHudi ki shan ke qurban jaiye
jis ka tere karam se na ho kam KHumar tak
sajda-gari ki jaan hai har aarzu-e-did
lekin nazar pe dil ko nahin e'tibar tak
ab KHwab mein bhi jalwa dikhane se hai gurez
lo chhin gaya nazar ka meri iKHtiyar tak
dast-e-junun ne jism ko aazad kar diya
rakkha na pairahan se laga ek tar tak
mina-e-baryab hai saghar ki bandagi
aaya kabhi na shisha-e-dil mein ghubar tak
ma’ruza-e-wafa ko sunen aap ek din
bandon ki Ter sunta hai parwardigar tak
afsurdagi ka raaz nazar ki KHizan mein hai
warna hai har nigah pe qurban bahaar tak
ghunche mizaj-e-'ishq pe kaste hain phabtiyan
gul hi gawah honge shahadat hazar tak
majnun ko rah-e-'ishq mein diwana dekh kar
panw ko chumne lage sahra mein KHar tak
wo 'shad' kis tarah ho kisi ke huzur mein
jo dil uTha sake na mohabbat ka bar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.