harif aae to us ka bhi ghar nikala jae
harīf aa.e to us kā bhī ghar nikālā jaa.e
shikār-gāh se ab ke na sar nikālā jaa.e
shikast-e-fāsh kā tūfān sar pe aa pahuñchā
bisāt kā hai taqāzā ki ghar nikālā jaa.e
zabān-e-vaqt ko dī jaa.e ik na.ī lazzat
zamīn se samar-e-be-shajar nikālā jaa.e
tahī hai dāman-e-abr-e-atā to yuuñ kar leñ
ḳhazaf nichoḌ ke āb-e-guhar nikālā jaa.e
bahut ajiib hai us kī ye shart-e-ham-safarī
miyān-e-rāh na raḳht-e-safar nikālā jaa.e
qalam kī pyaas bujhānī bahut zarūrī hai
kisī pe ḳhanjar-e-zahrāb-asar nikālā jaa.e
bahut dinoñ se jalāyā nahīñ gayā hai charāġh
ye qarz hai to har ik baam par nikālā jaa.e
na-jāne kab se sharar-āshnā hai dasht-e-jamāl
chalo ki hausla-e-chashm-e-tar nikālā jaa.e
chalāyā jaa.e dil-e-sang par jo teshā-e-fan
koī sipās-guzār-e-hunar nikālā jaa.e
ye daur vo hai ki 'yāvar' zabān hī na rahe
jo ek harf sar-e-rah-guzar nikālā jaa.e
harif aae to us ka bhi ghar nikala jae
shikar-gah se ab ke na sar nikala jae
shikast-e-fash ka tufan sar pe aa pahuncha
bisat ka hai taqaza ki ghar nikala jae
zaban-e-waqt ko di jae ek nai lazzat
zamin se samar-e-be-shajar nikala jae
tahi hai daman-e-abr-e-ata to yun kar len
KHazaf nichoD ke aab-e-guhar nikala jae
bahut ajib hai us ki ye shart-e-ham-safari
miyan-e-rah na raKHt-e-safar nikala jae
qalam ki pyas bujhani bahut zaruri hai
kisi pe KHanjar-e-zahrab-asar nikala jae
bahut dinon se jalaya nahin gaya hai charagh
ye qarz hai to har ek baam par nikala jae
na-jaane kab se sharar-ashna hai dasht-e-jamal
chalo ki hausla-e-chashm-e-tar nikala jae
chalaya jae dil-e-sang par jo tesha-e-fan
koi sipas-guzar-e-hunar nikala jae
ye daur wo hai ki 'yawar' zaban hi na rahe
jo ek harf sar-e-rah-guzar nikala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.