harifo hosh mein aao ki jam shishe ka
harīfo hosh meñ aao ki jaam shīshe kā
kisī ke lab ko hai laayā payām shīshe kā
diloñ ko mast na laTkātī zulf shāne meñ
kiyā hai siine meñ maiñ ne maqām shīshe kā
yahī namāz-e-jamā.at hai rindoñ kī zāhid
ki jhukte haiñ jhuke jis dam imaam shīshe kā
tujhe sifāl mayassar na ho lagā de ok
ravāñ ho mai-kade meñ faiz-e-ām shīshe kā
nikāl mujh ko na bazm-e-sharāb se bāhar
ki terā burda huuñ saaqī ġhulām shīshe kā
ba-qadr-e-zarf mujhe de sharāb pīr-e-muġhāñ
zabān-e-hāl se ye hai kalām shīshe kā
hazār sa.ī kare zaḳhm-ḳhurda ek gazand
muhāl dil kī tarah iltiyām shīshe kā
vahī latāfat-e-sūrat vahī safā-e-darūñ
hamāre dil meñ hai naqsha tamām shīshe kā
na chhuT sake tire qaabū meñ aa ke ai badmast
lakīreñ haiñ kaf-e-nāzuk meñ daam shīshe kā
balā-e-jāñ thī mujhe chaal he tirī saaqī
qayāmat aur bhī laayā ḳhirām shīshe kā
harifo hosh mein aao ki jam shishe ka
kisi ke lab ko hai laya payam shishe ka
dilon ko mast na laTkati zulf shane mein
kiya hai sine mein main ne maqam shishe ka
yahi namaz-e-jamaat hai rindon ki zahid
ki jhukte hain jhuke jis dam imam shishe ka
tujhe sifal mayassar na ho laga de ok
rawan ho mai-kade mein faiz-e-am shishe ka
nikal mujh ko na bazm-e-sharab se bahar
ki tera burda hun saqi ghulam shishe ka
ba-qadr-e-zarf mujhe de sharab pir-e-mughan
zaban-e-haal se ye hai kalam shishe ka
hazar sai kare zaKHm-KHurda ek gazand
muhaal dil ki tarah iltiyam shishe ka
wahi latafat-e-surat wahi safa-e-darun
hamare dil mein hai naqsha tamam shishe ka
na chhuT sake tere qabu mein aa ke ai badmast
lakiren hain kaf-e-nazuk mein dam shishe ka
bala-e-jaan thi mujhe chaal he teri saqi
qayamat aur bhi laya KHiram shishe ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.