harim-e-dard mein hun karb ke hisar mein hun
harīm-e-dard meñ huuñ karb ke hisār meñ huuñ
maiñ kis umiid pe huuñ kis ke intizār meñ huuñ
milegī ek na ik din vafā kī manzil bhī
maiñ ban ke dhuul mohabbat kī rahguzār meñ huuñ
patā bhī hai mirī baarī kabhī na aa.egī
maiñ nazm-o-zabt kā pāband huuñ qatār meñ huuñ
maiñ aa rahā huuñ tirī samt kitne barsoñ se
tirī kashish meñ huuñ kab apne iḳhtiyār meñ huuñ
galī galī meñ khile haiñ mahāz nafrat ke
maiñ shahr meñ huuñ ki maidān-e-kār-zār meñ huuñ
zamāna mujh ko kabhī bhī girā nahīñ saktā
yaqīn hai mujhe jab tak nigāh-e-yār meñ huuñ
mujhe nikāl le 'hasanī' sazā milī hai bahut
maiñ ab bhī qaid-e-anā ke muhīb ġhaar meñ huuñ
harim-e-dard mein hun karb ke hisar mein hun
main kis umid pe hun kis ke intizar mein hun
milegi ek na ek din wafa ki manzil bhi
main ban ke dhul mohabbat ki rahguzar mein hun
pata bhi hai meri bari kabhi na aaegi
main nazm-o-zabt ka paband hun qatar mein hun
main aa raha hun teri samt kitne barson se
teri kashish mein hun kab apne iKHtiyar mein hun
gali gali mein khile hain mahaz nafrat ke
main shahr mein hun ki maidan-e-kar-zar mein hun
zamana mujh ko kabhi bhi gira nahin sakta
yaqin hai mujhe jab tak nigah-e-yar mein hun
mujhe nikal le 'hasani' saza mili hai bahut
main ab bhi qaid-e-ana ke muhib ghaar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.